"Broken Childhood" , Whose fault behind broken childhood? parents or children's...
Broken childhood, ye bachpan ka wo part hai jiska effect hmari puri lyf me pdta hai chahe fr wo professional ho ya personal.
Bikhra hua Bachpan acc. to me isme baccho ki kahin galti ni hoti kyunki baccho ko to ye bhi ni pta hota ki galti kya hoti hai unhe btaya jata hai or jataya bhi.. Pr ye jo batana or jatana hota hai ye baccho ko waqt se pehle hi mature bana deta hai lekin unhe lyf me sahi galat decisions lene k liye jis confidence ki zaruat hoti hna wo ni dila pata shayd isi reason se ese bacche bade hone k baad bhi apne bachpan me hi reh jaate hai wo situations , time , insecurities unhe aage badhne me boht problem deti hai in every step of lyf.
Two n half yrs girl apni Mamma k sath chali jati hai usse ye bhi ni pta hota ki wo kaha ja rahi hai kyu ja rahi hai kisse chhod k ja rhi hai usse sirf ye pta hota hai ki wo apni Maa k sath ja rhi hai, Or uski age me ye pta hone hi enough hota hai ki wo uski Maa k sath hai.
Wo apni mamma k sath uske grand parents k ghar jaati hai hmisha k liye apne papa ko chhod k!!!!
Ab iss situation me kisko blame kare wo uski mamma ko ya papa ko or unn dono ko??
Kyunki uss bacchi ko to sahi galat ya ye situation samjhne ki samjh hi ni hai usse to bss uska bachpan enjoy karna hai jo usse karna chye actly but uss bacchi ki lyf me jo situation aati hai ussne uss bacchi ka bachpan chhin liya!!!
'Separation' parents k clashes ne unhe separate kardiya aur wo bacchi apni mamma k sath chali gayi.
Iska main reason uss bacchi k parents ka separation tha... Ye separation word sunne me toh boht cool lagta hai lekin isse jo individuals face kar rhe hote hai wahi samjh paate hai!
Aur iska sabse zayda bad effect baccho pe padta hai aesi uss bacchi k sath hua wo apni Maa k sath aa to gai lekin uske papa ki kami uske bachpan se lekr bade tak samjh aati rhi life k hr stage pr...
Papa ki absence, wese to uski maa ne Saare efforts lga diye puri life struggle me nikal di pr ni chahte, hue bhi uss bcchi ko logo ne uske papa ki absence ko bhulne ni diya!!!
Being a girl ,uss bacchi k papa ki absence ne uske teenage to young age ki life ko boht insecure, scary bana diya.
aur iske piche logo ki buri nazre galat harkate kuch ese incidents jo wo kisise share ni kar paati... srf ye jaante hue ki uss bacchi k papa ni hai uski single mother hai!!!
Inn situations ne uss bacchi ko mature ,self confident bnane ki jgah usse insecurities, Fear of crowds, aggresion ye sab de diya.
"Broken Childhood" Iss term ka sirf ye meaning hai ki hr bacche ko uska, bachpan jeene ka right hai, kisi bhi reason se uska bachpan ni cheene kyunki ye uss bacche ki life pr boht effect karta hai!
Matter ye ni hai ki kaun sahi kaun galat Or kisi ko blame bhi ni kar sakte kyunki sahi galat situation aur time decide karta hai hum ya aap ni!!!
Thank you😊